Free Web Hosting by Netfirms
Web Hosting by Netfirms | Free Domain Names by Netfirms

 

Poetry 

Welcome to pakonline.netfirms.com Poetry Section

PREVIOUS   1 2

Zindagi mein kuchh lamhaey aisay aatey hain
Har cheez dhundla jati hae sirf khvaab nazar atey hain

Khvaab hi tu hain jo hamesha saath rehtey hain
Woh janey kaha gaye ab tu bas un ki yadaien hain

Unn sae mil ke phir yeh ehsaas honey lagaa
Wohi ek bas apney han baqi sab tu paraaye hain

Unn ki yeh adda hii saab sae ziaadaa bha gai
jab bhi hum un ko dehktey hain woh sharma jatey hain

Hum ne kabhi bhi unse koi gila na kia
Phir bhi woh humey har waqt sataatey hain

Kuch aysa rishta tha merey un ke darmiyaa
Jaise do panchi milttay hain phir bichrr jatey hain

Hir haal mae hum ne kosshish ki bhoolany ki
Lekin phir bhi us ajnabi ke saaye nazar atey hain

Humary saath ab ziaadaa kuch tu nahi hae
Bas hae ye Chandni raat aur kuch sitaarey hain


jab bhee muhabatoon ka hisab karna
mere muhabatain bhee shumar karna
mere batoon ko yaad karna
oor phir deehre se muskara ke keh dena
tumharee muhabatain behisab hain


To tum yaad aa'yeeN
chameli ki khushboo, jo khiRki se aa'yee
saath apne boondeiN tarashho ki layee
hawa bheegi mittti se mil mil ke aa'yee
to tum yaad aa'yeeN

ufaq ne jo kandil apni jalayee
sitaroN ne bazm-e-charaghaN sajayee
hawa'oN ne ghazaleiN jo rumani gaayeiN
to tum yaad aa'yeeN

kisi ne kisi ke jo dil ko dukhaya
apna bana karke daaman chhuRaya
kisi ne kisi se jo ki bewafayee
to tum yaad aa'yeeN


Yeh dil na chahtey huey bhee tujhe chahta hae
Tujhe na sochooN phir bhi tera khyaal aata hae

Chahta hooN keh tujhe bhool jao'N
Lekin bhoolna mujhe nahiN aata hae

Raat ko sotey huey tujhe sochta hooN
Subah hotey hee phir tera khyaal aata hae

Tanhai meN mera dil jab bhee udaas hota hae
Mujhe wohi eik chehra yaad aata hae

( Haqiqat to yeh hae Waqas )
Aisa koi bas terey khawaab-o-khayal meN hae
Phir bhi tujhe ye farq Kion nazar nahi aata hae


Mera dil bohat udaas hai
yeh raatain bay sukooN haiN
yeh din bay aaraam haiN
nujhay mohabbat ki piyaas hai
Mera dil bohat udaas hai

Go kay tu mujh say bichar gaya
Mera chayn bhi mujh say lay gaya
Na janay kyoon phir teri aas hai
Mera dil bohat udaas hai

Tujhay bholnay ki jab koshish kari
Haqeeqat ko samajhnay ki koshish kari
yun laga tu kahiN aas pass hai
Mera dil bohat udaas hai

Zindagi aisay daurahay par aayee hai
Kay sirf maiN aur meri tanhai hai
Fahad yeh kaisa ajeeb ahsas hai
Mera dil bohat udaas hai

PREVIOUS   1 2  

Design By : Saad Ahmed